KHuda se mang liya tumko jab sada ke liye
KHuda se mang liya tumko jab sada ke liye
Zaheer Nashad Darbhangwi
MORE BYZaheer Nashad Darbhangwi
ḳhudā se maang liyā tum ko jab sadā ke liye
ab aur haath uThā.ūñ to kis duā ke liye
sanam-kade se haram tak na pūchh ai dost
maiñ kis jagah na gayā ruuh kī ġhizā ke liye
anā ko jaan se apnī azīz-tar rakhiye
magar hunar bhī zarūrī hai kuchh anā ke liye
laḌī hai jang zamāne se umr-bhar maiñ ne
kabhī huqūq kī ḳhātir kabhī baqā ke liye
ġhalat zamāne ne mujh ko banā diyā mansūr
maiñ mustahiq na thā itnī baḌī sazā ke liye
har ek haal meñ 'nāshād' zehn kā apne
darīcha khol ke rakhiye na.ī havā ke liye
KHuda se mang liya tum ko jab sada ke liye
ab aur hath uThaun to kis dua ke liye
sanam-kade se haram tak na puchh ai dost
main kis jagah na gaya ruh ki ghiza ke liye
ana ko jaan se apni aziz-tar rakhiye
magar hunar bhi zaruri hai kuchh ana ke liye
laDi hai jang zamane se umr-bhar main ne
kabhi huquq ki KHatir kabhi baqa ke liye
ghalat zamane ne mujh ko bana diya mansur
main mustahiq na tha itni baDi saza ke liye
har ek haal mein 'nashad' zehn ka apne
daricha khol ke rakhiye nai hawa ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.