KHuda se tauba karo dard ki sada se bacho
ḳhudā se tauba karo dard kī sadā se bacho
ġhurūr chhoḌo yatīmoñ kī badduā se bachcho
tumhāre haath meñ ye jaam de ke chal degī
jo ho sake to ḳhudārā tum is ghaTā se bacho
isī mahīne meñ zaḳhmoñ ke phuul khilte haiñ
hamesha mausam-e-barsāt kī havā se bacho
na jaane kab tumheñ ye chuur chuur kar Daale
tum aa.ina ho to patthar ke is ḳhudā se bacho
vo jin se shahr meñ amrāz-e-qalb phail ga.e
tum aise nīm-hakīmān kī davā se bacho
iraq ā.uñgā saddām ban ke ā.uñgā
maiñ dhoke-bāz nahīñ huuñ mirī adā se bacho
ye shahr-e-ishq-o-mohabbat hai phir bhī ai 'dilkash'
vafā-shanās bano aur be-vafā se bacho
KHuda se tauba karo dard ki sada se bacho
ghurur chhoDo yatimon ki baddua se bachcho
tumhaare hath mein ye jam de ke chal degi
jo ho sake to KHudara tum is ghaTa se bacho
isi mahine mein zaKHmon ke phul khilte hain
hamesha mausam-e-barsat ki hawa se bacho
na jaane kab tumhein ye chur chur kar Dale
tum aaina ho to patthar ke is KHuda se bacho
wo jin se shahr mein amraaz-e-qalb phail gae
tum aise nim-hakiman ki dawa se bacho
iraq aaunga saddam ban ke aaunga
main dhoke-baz nahin hun meri ada se bacho
ye shahr-e-ishq-o-mohabbat hai phir bhi ai 'dilkash'
wafa-shanas bano aur be-wafa se bacho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.