KHuda shahid suluk-e-narawa se choT lagti hai
KHuda shahid suluk-e-narawa se choT lagti hai
Shaad Fidai Dehalvi
MORE BYShaad Fidai Dehalvi
ḳhudā shāhid sulūk-e-nāravā se choT lagtī hai
na muñh phero ki dil par is adā se choT lagtī hai
qasam tum ko yūñhī bātoñ ke patthar mārte rahnā
mire shīsha-sifat dil par balā se choT lagtī hai
mire mohsin mirī ġhayyūr fitrat ko na pahchāne
ki har baḌhte hue dast-e-atā se choT lagtī hai
kuchh aise haiñ bikhar jaate haiñ jo phūloñ kī ḳhushbū se
kuchh aise haiñ jinheñ bād-e-sabā se choT lagtī hai
yaqīnan phir unheñ me.aar jiine kā nahīñ aatā
jinheñ merī ḳhudī merī anā se choT lagtī hai
azīzo zindagī kī talḳhiyoñ se maiñ to baaz aaya
rafīqo aur jiine kī duā se choT lagtī hai
bajā.e dil koī patthar rakhā hai jin ke siine meñ
unheñ kyoñ 'shād' kī āh-o-bukā se choT lagtī hai
KHuda shahid suluk-e-narawa se choT lagti hai
na munh phero ki dil par is ada se choT lagti hai
qasam tum ko yunhi baaton ke patthar marte rahna
mere shisha-sifat dil par bala se choT lagti hai
mere mohsin meri ghayyur fitrat ko na pahchane
ki har baDhte hue dast-e-ata se choT lagti hai
kuchh aise hain bikhar jate hain jo phulon ki KHushbu se
kuchh aise hain jinhen baad-e-saba se choT lagti hai
yaqinan phir unhen mear jine ka nahin aata
jinhen meri KHudi meri ana se choT lagti hai
azizo zindagi ki talKHiyon se main to baz aaya
rafiqo aur jine ki dua se choT lagti hai
bajae dil koi patthar rakha hai jin ke sine mein
unhen kyon 'shad' ki aah-o-buka se choT lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.