KHuda uruj hai mujhko zawal DhunDhna hai
ḳhudā uruuj hai mujh ko zavāl DhūñDhnā hai
javāb mil ga.e haiñ ab savāl DhūñDhnā hai
sazā ke taur pe mujh ko milī hai ye duniyā
sitam to ye hai ki is meñ kamāl DhūñDhnā hai
purānī yādoñ kā album nikālnā hai mujhe
tumhāre saath jo guzrā thā saal DhūñDhnā hai
record room meñ kuchh fileñ talāshnī haiñ
ġhamoñ ke Dher meñ mujh ko malāl DhūñDhnā hai
khañgālne haiñ mujhe apne sab se achchhe sher
jo tujh ko rang de aisā gulāl DhūñDhnā hai
hamāre dil meñ bhare haiñ tamām qīmtī ġham
ġhazal ke vāste sastā sā maal DhūñDhnā hai
KHuda uruj hai mujh ko zawal DhunDhna hai
jawab mil gae hain ab sawal DhunDhna hai
saza ke taur pe mujh ko mili hai ye duniya
sitam to ye hai ki is mein kamal DhunDhna hai
purani yaadon ka album nikalna hai mujhe
tumhaare sath jo guzra tha sal DhunDhna hai
record room mein kuchh filen talashni hain
ghamon ke Dher mein mujh ko malal DhunDhna hai
khangalne hain mujhe apne sab se achchhe sher
jo tujh ko rang de aisa gulal DhunDhna hai
hamare dil mein bhare hain tamam qimti gham
ghazal ke waste sasta sa mal DhunDhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.