KHuda wo din na dikhae ki sarfaraaz karen
ḳhudā vo din na dikhā.e ki sarfarāz kareñ
fuzūl sher kaheñ aur is pe naaz kareñ
badalne vaalā hai juġhrāfiya gulistāñ kā
giroh-bandī se lāzim hai ehtirāz kareñ
mahābalī kī paḌosī uḌāte haiñ khillī
zamīr bechne vaale na faash raaz kareñ
abhī shikast yaqīnī nahīñ batā do unheñ
mire ḳhilāf abhī aur sāz-bāz kareñ
janāb-e-shaiḳh bhī zālim ke ittihādī haiñ
ye nasl-e-nau ko hidāyat suḳhan-tarāz kareñ
havā-e-shahr hai masmūm hoshiyār raho
ajab nahīñ tumheñ taqsīm chāl-bāz kareñ
anaaj bāñTte phirte haiñ ab vo bastī meñ
jo ḳhair-o-shar meñ yaqīnan na imtiyāz kareñ
ḳhudā ke ḳhauf pe ġhālib vabā kā ḳhauf huā
ye hukm hai ki akele adā namāz kareñ
janāza amn kā niklegā dhuum se ab ke
duā.eñ karte raheñ aap vo niyāz kareñ
KHuda wo din na dikhae ki sarfaraaz karen
fuzul sher kahen aur is pe naz karen
badalne wala hai jughrafiya gulistan ka
giroh-bandi se lazim hai ehtiraaz karen
mahabali ki paDosi uDate hain khilli
zamir bechne wale na fash raaz karen
abhi shikast yaqini nahin bata do unhen
mere KHilaf abhi aur saz-baz karen
janab-e-shaiKH bhi zalim ke ittihadi hain
ye nasl-e-nau ko hidayat suKHan-taraaz karen
hawa-e-shahr hai masmum hoshiyar raho
ajab nahin tumhein taqsim chaal-baz karen
anaj banTte phirte hain ab wo basti mein
jo KHair-o-shar mein yaqinan na imtiyaz karen
KHuda ke KHauf pe ghaalib waba ka KHauf hua
ye hukm hai ki akele ada namaz karen
janaza amn ka niklega dhum se ab ke
duaen karte rahen aap wo niyaz karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.