KHudaya aise junun ki kabhi hawa na lage
ḳhudāyā aise junūñ kī kabhī havā na lage
khulā ho bāb-e-qafas aur mujhe khulā na lage
na jaane kaisī 'ibārat hai us ke chehre par
ḳhafā ho paañv se sar tak magar ḳhafā na lage
na jaane kaisā hai andāz-e-guftugū us kā
mujhe burā bhī kahe aur mujhe burā na lage
fareb us ko mohabbat meñ duuñ maiñ kaise bhalā
maiñ sochtā huuñ kahīñ us kī bad-du'ā na lage
jo dekhiye to hai sadiyoñ kā fāsla 'jāved'
jo sochiye to zarā sā bhī fāsla na lage
KHudaya aise junun ki kabhi hawa na lage
khula ho bab-e-qafas aur mujhe khula na lage
na jaane kaisi 'ibarat hai us ke chehre par
KHafa ho panw se sar tak magar KHafa na lage
na jaane kaisa hai andaz-e-guftugu us ka
mujhe bura bhi kahe aur mujhe bura na lage
fareb us ko mohabbat mein dun main kaise bhala
main sochta hun kahin us ki bad-du'a na lage
jo dekhiye to hai sadiyon ka fasla 'jawed'
jo sochiye to zara sa bhi fasla na lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.