KHudaya mili kya saza hai mujhe
ḳhudāyā milī kyā sazā hai mujhe
nahīñ hai jo merā mirā hai mujhe
vo chup bhī rahe to maiñ suntī rahūñ
ḳhamoshī kā vo tajraba hai mujhe
use aaj hañstā huā dekh kar
kahūñ kyā baḌā dukh huā hai mujhe
vo ye sochtā hai maiñ anjān huuñ
maiñ chup huuñ ke sab kuchh pata hai mujhe
ḳhayāloñ kī mahfil meñ rahtī huuñ maiñ
ye mahfil magar ik ḳhalā hai mujhe
tire lauTne kī duā maañg lī
magar ye mirī badduā hai mujhe
KHudaya mili kya saza hai mujhe
nahin hai jo mera mera hai mujhe
wo chup bhi rahe to main sunti rahun
KHamoshi ka wo tajraba hai mujhe
use aaj hansta hua dekh kar
kahun kya baDa dukh hua hai mujhe
wo ye sochta hai main anjaan hun
main chup hun ke sab kuchh pata hai mujhe
KHayalon ki mahfil mein rahti hun main
ye mahfil magar ek KHala hai mujhe
tere lauTne ki dua mang li
magar ye meri baddua hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.