KHuddar zindagi thi sharafat mein jal gai
KHuddar zindagi thi sharafat mein jal gai
Avneesh Trivedi Abhay
MORE BYAvneesh Trivedi Abhay
ḳhud.dār zindagī thī sharāfat meñ jal ga.ī
tā'rīf karne vāloñ kī qismat badal ga.ī
jin ko to bolne kā salīqa nahīñ huā
masnad milī to baat zamāne meñ chal ga.ī
ham qāfiya radīf meñ uljhe rahe faqat
mā'nī to chhoḌiye jī mukammal ġhazal ga.ī
sūrat hasīn āñkhoñ se ojhal nahīñ huī
dīdār aise the ki tabī'at bahal ga.ī
patjhaḌ ko yuuñ bahār mayassar huī nahīñ
aisā lagā ki machhlī to kāñTā nigal ga.ī
is zindagī se koī bhī shikva nahīñ 'abhay'
jis or thā jhukāv usī or Dhal ga.ī
KHuddar zindagi thi sharafat mein jal gai
ta'rif karne walon ki qismat badal gai
jin ko to bolne ka saliqa nahin hua
masnad mili to baat zamane mein chal gai
hum qafiya radif mein uljhe rahe faqat
ma'ni to chhoDiye ji mukammal ghazal gai
surat hasin aankhon se ojhal nahin hui
didar aise the ki tabi'at bahal gai
patjhaD ko yun bahaar mayassar hui nahin
aisa laga ki machhli to kanTa nigal gai
is zindagi se koi bhi shikwa nahin 'abhay'
jis or tha jhukaw usi or Dhal gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.