KHuddariyon ki had se nikalna paDa mujhe
ḳhuddāriyoñ kī had se nikalnā paḌā mujhe
māhaul kī chitāoñ meñ jalnā paḌā mujhe
vo maslahat thī kyā thī mujhe kuchh nahīñ pata
apnā har ik usuul badalnā paḌā mujhe
sochā thā maiñ rahūñgā hamesha 'urūj par
sūraj kī tarh shaam ko Dhalnā paḌā mujhe
maañ ke hasīn chāñd se chehre ko dekh kar
bachpan kī yaad aa.ī machalnā paḌā mujhe
bujhtā jo maiñ to miTtā nishāñ ḳhāndān kā
maiñ āḳhirī charāġh thā jalnā paḌā mujhe
paanā kaThin hai zevar-e-kirdār dosto
chāñdī kī tarh aag meñ galnā paḌā mujhe
yūñhī kahāñ mile haiñ ye do-chār phuul bhī
'ālam' hazār kāñToñ pe chalnā paḌā mujhe
KHuddariyon ki had se nikalna paDa mujhe
mahaul ki chitaon mein jalna paDa mujhe
wo maslahat thi kya thi mujhe kuchh nahin pata
apna har ek usul badalna paDa mujhe
socha tha main rahunga hamesha 'uruj par
suraj ki tarh sham ko Dhalna paDa mujhe
man ke hasin chand se chehre ko dekh kar
bachpan ki yaad aai machalna paDa mujhe
bujhta jo main to miTta nishan KHandan ka
main aaKHiri charagh tha jalna paDa mujhe
pana kaThin hai zewar-e-kirdar dosto
chandi ki tarh aag mein galna paDa mujhe
yunhi kahan mile hain ye do-chaar phul bhi
'alam' hazar kanTon pe chalna paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.