KHudi ke josh mein fikr-e-maal-e-kar nahin
KHudi ke josh mein fikr-e-maal-e-kar nahin
Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi
MORE BYSyed Wajid Ali Farrukh Banarsi
ḳhudī ke josh meñ fikr-e-ma.āl-e-kār nahīñ
jise hai hosh kā da.avā vo hoshiyār nahīñ
ḳhushī ke naam se uThtī hai huuk sī dil meñ
ḳhayāl-e-aish bhī ab ham ko sāzgār nahīñ
ab aise banda ko muḳhtār samjheñ yā majbūr
jise amal tak irāde se iḳhtiyār nahīñ
bahār aatī hai guzregī ai junūñ kyūñkar
abhī se jaib-o-garebāñ meñ ek taar nahīñ
har ek zarra-e-hastī hai iztirāb-farosh
ġharaz kisī ko tire ahd meñ qarār nahīñ
karīm terī karīmī kī shaan ke sadqe
gunāh kar ke bhī mujrim gunāhgār nahīñ
adam ko jaatā hai hastī kā kārvāñ ḳhāmosh
sadā jaras kī nahīñ ġhul nahīñ pukār nahīñ
sarishk-e-ḳhūñ se qafas lāla-zār hai 'farruḳh'
ye vo chaman hai jo minnat-kash-e-bahār nahīñ
KHudi ke josh mein fikr-e-maal-e-kar nahin
jise hai hosh ka dawa wo hoshiyar nahin
KHushi ke nam se uThti hai huk si dil mein
KHayal-e-aish bhi ab hum ko sazgar nahin
ab aise banda ko muKHtar samjhen ya majbur
jise amal tak irade se iKHtiyar nahin
bahaar aati hai guzregi ai junun kyunkar
abhi se jaib-o-gareban mein ek tar nahin
har ek zarra-e-hasti hai iztirab-farosh
gharaz kisi ko tere ahd mein qarar nahin
karim teri karimi ki shan ke sadqe
gunah kar ke bhi mujrim gunahgar nahin
adam ko jata hai hasti ka karwan KHamosh
sada jaras ki nahin ghul nahin pukar nahin
sarishk-e-KHun se qafas lala-zar hai 'farruKH'
ye wo chaman hai jo minnat-kash-e-bahaar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.