KHudi ko aazmana chahta hun
ḳhudī ko āzmānā chāhtā huuñ
tujhe bhī bhuul jaanā chāhtā huuñ
tire logoñ meñ rishte mar rahe haiñ
zamīñ ko ye batānā chāhtā huuñ
bahut ro.e haiñ ye shabnam se mil kar
guloñ ko maiñ hañsānā chāhtā huuñ
binā tere mahak kis tarah phailī
havā ko ye dikhānā chāhtā huuñ
jo pas-manzar meñ rahte haiñ hamesha
unheñ manzar meñ laanā chāhtā huuñ
nazar uktā ga.ī hai manzaroñ se
na.ī duniyā basānā chāhtā huuñ
faqīrāna chaTā.ī ko bichhā kar
sar-e-shāhī jhukānā chāhtā huuñ
ab apne hijr kī rūdād 'nāshir'
sitāroñ ko sunānā chāhtā huuñ
KHudi ko aazmana chahta hun
tujhe bhi bhul jaana chahta hun
tere logon mein rishte mar rahe hain
zamin ko ye batana chahta hun
bahut roe hain ye shabnam se mil kar
gulon ko main hansana chahta hun
bina tere mahak kis tarah phaili
hawa ko ye dikhana chahta hun
jo pas-manzar mein rahte hain hamesha
unhen manzar mein lana chahta hun
nazar ukta gai hai manzaron se
nai duniya basana chahta hun
faqirana chaTai ko bichha kar
sar-e-shahi jhukana chahta hun
ab apne hijr ki rudad 'nashir'
sitaron ko sunana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.