KHudi ko sabr-o-tahammul se aashna rakhna
ḳhudī ko sabr-o-tahammul se āshnā rakhnā
baḌī he baat baḌā dil kā hausla rakhnā
isī se hai ye mirī zindagī meñ ra.anā.ī
mirā charāġh-e-mohabbat havā jalā rakhnā
nahīñ hai shaan uThā kar akaḌ ke chalne meñ
hamesha sar ko adab se jhukā huā rakhnā
na jaane kaun sā lamha ho us kī aamad kā
ḳhayāl zehn maiñ har vaqt maut kā rakhnā
sañbhāl lenā bulandī pe āsmāñ kī mujhe
mirī uḌaan kī tū aabrū havā rakhnā
tū apne rahm-o-karam se navāz denā hameñ
hamārī laaj tū mahshar meñ ai ḳhudā rakhnā
'zahīr' shukr ḳhudā kā har ek pal lāzim
laboñ ko shām-o-sahar tālib-e-duā rakhnā
KHudi ko sabr-o-tahammul se aashna rakhna
baDi he baat baDa dil ka hausla rakhna
isi se hai ye meri zindagi mein ranai
mera charagh-e-mohabbat hawa jala rakhna
nahin hai shan uTha kar akaD ke chalne mein
hamesha sar ko adab se jhuka hua rakhna
na jaane kaun sa lamha ho us ki aamad ka
KHayal zehn main har waqt maut ka rakhna
sanbhaal lena bulandi pe aasman ki mujhe
meri uDan ki tu aabru hawa rakhna
tu apne rahm-o-karam se nawaz dena hamein
hamari laj tu mahshar mein ai KHuda rakhna
'zahir' shukr KHuda ka har ek pal lazim
labon ko sham-o-sahar talib-e-dua rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.