KHudi mera pata deti hai ab bhi
ḳhudī merā pata detī hai ab bhī
mujhe mujh se milā detī hai ab bhī
guzishta mausamoñ kī narm ḳhushbū
ta’alluq kā pata detī hai ab bhī
kabhī rah rah ke ik gumnām ḳhvāhish
safar kā hausla detī hai ab bhī
ye āvāra-mizājī dasht-e-jāñ meñ
nayā jaadū jagā detī hai ab bhī
umīd-e-sub.h-e-nau har shām-e-ġham meñ
thakan saarī miTā detī hai ab bhī
chamak ḳhush-rañg lahje kī tumhāre
na.ī sham'eñ jalā detī hai ab bhī
ġhazal ke dil-rubā lahje kī shoḳhī
suḳhan kā silsila detī hai ab bhī
KHudi mera pata deti hai ab bhi
mujhe mujh se mila deti hai ab bhi
guzishta mausamon ki narm KHushbu
ta’alluq ka pata deti hai ab bhi
kabhi rah rah ke ek gumnam KHwahish
safar ka hausla deti hai ab bhi
ye aawara-mizaji dasht-e-jaan mein
naya jadu jaga deti hai ab bhi
umid-e-subh-e-nau har sham-e-gham mein
thakan sari miTa deti hai ab bhi
chamak KHush-rang lahje ki tumhaare
nai sham'en jala deti hai ab bhi
ghazal ke dil-ruba lahje ki shoKHi
suKHan ka silsila deti hai ab bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.