khul gai hai aql jhaT se dil magar Dar kar khula
khul ga.ī hai 'aql jhaT se dil magar Dar kar khulā
ik jhijhaktā hī rahā aur ek thā phar-phar khulā
ham the jannat ke liye par aa ga.e haiñ dahr meñ
thā zamīñ kā raaz lekin āsmānoñ par khulā
sub.h kā bhūlā kisī shab lauT aa.egā zarūr
bas isī ummīd par hī rakh diyā hai dar khulā
raat un ko ḳhvāb meñ dekhā hai kuchh is haal meñ
paañv nange saañs phūlī ashk jaarī sar khulā
khaTkhaTātā phir rahā thā is nagar se us nagar
aur darvāza khulā bhī to mire andar khulā
jaan mobile meñ aa.ī charger ko dekh kar
log chīḳhe daad aa.ī tab kahīñ shā'ir khulā
yūñhī thoḌī ho ga.e chālāk 'sūfī' boliye
choT khaa.ī dhoke khaa.e tab hamārā sar khulā
khul gai hai 'aql jhaT se dil magar Dar kar khula
ek jhijhakta hi raha aur ek tha phar-phar khula
hum the jannat ke liye par aa gae hain dahr mein
tha zamin ka raaz lekin aasmanon par khula
subh ka bhula kisi shab lauT aaega zarur
bas isi ummid par hi rakh diya hai dar khula
raat un ko KHwab mein dekha hai kuchh is haal mein
panw nange sans phuli ashk jari sar khula
khaTkhaTata phir raha tha is nagar se us nagar
aur darwaza khula bhi to mere andar khula
jaan mobile mein aai charger ko dekh kar
log chiKHe dad aai tab kahin sha'ir khula
yunhi thoDi ho gae chaalak 'sufi' boliye
choT khai dhoke khae tab hamara sar khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.