khul gaya raaz ayan ho gai ayyari-e-shab
khul gayā raaz ayaañ ho ga.ī ayyārī-e-shab
kitnī saffāk hai bātin meñ ziyā-bārī-e-shab
mohlat-e-ishq ko darkār hai marzī us kī
dil ke saude meñ sivā hogī ḳharīdārī-e-shab
kahīñ aañsū kahīñ aaheñ kahīñ pāmāl fazā
jis taraf dekho nazar aa.e siyāhkārī-e-shab
niiñd kā kyā hai vo suulī pe bhī aa jaa.e magar
durr-e-nāyāb huī jaatī hai bedārī-e-shab
roz kahtī hai ḳhirad din kī rifāqat meñ rahūñ
dil magar roz hī kartā hai taraf-dārī-e-shab
ik vahī ḳhvāb jo palkoñ se judā ho na sakā
umr bhar naaz se kartā rahā dildārī-e-shab
ḳhema-e-chashm jalā ḳhvāb kā asbāb jalā
ashk se ho ga.ī takmīl-e-sharar-bārī-e-shab
roz-e-raushan kī tarah maiñ bhī safar kartā 'shakīl'
gar mirī raah meñ hotī na amal-dārī-e-shab
khul gaya raaz ayan ho gai ayyari-e-shab
kitni saffak hai baatin mein ziya-bari-e-shab
mohlat-e-ishq ko darkar hai marzi us ki
dil ke saude mein siwa hogi KHaridari-e-shab
kahin aansu kahin aahen kahin pamal faza
jis taraf dekho nazar aae siyahkari-e-shab
nind ka kya hai wo suli pe bhi aa jae magar
durr-e-nayab hui jati hai bedari-e-shab
roz kahti hai KHirad din ki rifaqat mein rahun
dil magar roz hi karta hai taraf-dari-e-shab
ek wahi KHwab jo palkon se juda ho na saka
umr bhar naz se karta raha dildari-e-shab
KHema-e-chashm jala KHwab ka asbab jala
ashk se ho gai takmil-e-sharar-bari-e-shab
roz-e-raushan ki tarah main bhi safar karta 'shakil'
gar meri rah mein hoti na amal-dari-e-shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.