khul kar na sar-e-am ho izhaar bhale hi
khul kar na sar-e-am ho izhaar bhale hi
Azimuddin Sahil Kalamnoori
MORE BYAzimuddin Sahil Kalamnoori
khul kar na sar-e-ām ho iz.hār bhale hī
hai buġhz kareñ ham se vo inkār bhale hī
bachchoñ ne to aapas meñ nahīñ khelnā chhoḌā
āñgan meñ uThā.ī ga.ī dīvār bhale hī
phailāyā na hāthoñ ko kabhī aage kisī ke
har vaqt masā.il se huuñ do-chār bhale hī
masjid kī shahādat meñ rahī ye bhī mulavvis
kartī rahe inkār ye sarkār bhale hī
daulat hī jhukā paa.ī na qānūn hī us ko
fāqoñ se marā hai vo qalamkār bhale hī
hai sachchā parastār vo urdu kā ai 'sāhil'
hai ek risāle kā ḳharīdār bhale hī
khul kar na sar-e-am ho izhaar bhale hi
hai bughz karen hum se wo inkar bhale hi
bachchon ne to aapas mein nahin khelna chhoDa
aangan mein uThai gai diwar bhale hi
phailaya na hathon ko kabhi aage kisi ke
har waqt masail se hun do-chaar bhale hi
masjid ki shahadat mein rahi ye bhi mulawwis
karti rahe inkar ye sarkar bhale hi
daulat hi jhuka pai na qanun hi us ko
faqon se mara hai wo qalamkar bhale hi
hai sachcha parastar wo urdu ka ai 'sahil'
hai ek risale ka KHaridar bhale hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.