khul ke sachchai ka izhaar nahin kar sakte
khul ke sachchā.ī kā iz.hār nahīñ kar sakte
ham jo karte haiñ vo aḳhbār nahīñ kar sakte
zindagī terā taqāzā hai ki sarpaT dauḌeñ
ham vo lāchār ki inkār nahīñ kar sakte
un ko haq hai ki vo inkār bhī kar sakte haiñ
ham pe qadġhan hai ki isrār nahīñ kar sakte
sab ke sab mil ke mire sāmne saf-ārā haiñ
kaam aisā hai ki do-chār nahīñ kar sakte
tujh se ik kaam hai aur kaam bhī aisā hai ki jo
chashm-o-abrū lab-o-ruḳhsār nahīñ kar sakte
ham ne ik umr kyā un pe bharosā 'maz.har'
ham vahī kaam lagātār nahīñ kar sakte
khul ke sachchai ka izhaar nahin kar sakte
hum jo karte hain wo aKHbar nahin kar sakte
zindagi tera taqaza hai ki sarpaT dauDen
hum wo lachaar ki inkar nahin kar sakte
un ko haq hai ki wo inkar bhi kar sakte hain
hum pe qadghan hai ki israr nahin kar sakte
sab ke sab mil ke mere samne saf-ara hain
kaam aisa hai ki do-chaar nahin kar sakte
tujh se ek kaam hai aur kaam bhi aisa hai ki jo
chashm-o-abru lab-o-ruKHsar nahin kar sakte
hum ne ek umr kya un pe bharosa 'mazhar'
hum wahi kaam lagatar nahin kar sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.