khul ke wazeh bhi na hone pai thin parchhaiyan
khul ke vāzeh bhī na hone paa.ī thiiñ parchhā.iyāñ
mujh ko zaḳhmī kar ga.iiñ kuchh āñsuoñ kī kirchiyāñ
jab se us kī guftugū mafhūm se 'aarī huī
us kī nazmeñ pā rahī haiñ daad meñ hamdardiyāñ
merī nazroñ meñ bahut mashkūk hai us kā vujūd
raah jis kī dekhtī haiñ shahr-bhar kī laḌkiyāñ
mujh ko us ke TūTte lahje meñ do chīzeñ milīñ
chand lamhoñ kā sukūñ aur 'umr kī tanhā.iyāñ
us ko bāhar kī fazā meñ raushnī kaise mile
jis ko us ke ghar kā sūraj de gayā tārīkiyāñ
kis ko in safhāt meñ paikar nazar aa.e mirā
kaun DhūñDe zindagī kī Diary meñ talḳhiyāñ
aaj bhī mānūs sī un ḳhushbuoñ kī yaad meñ
merī palkoñ par utar aatī haiñ kuchh hairāniyāñ
sub.h kī kirneñ uḌiiñ sab ke darīche vā hue
duur vaadī meñ kahīñ bajne lagīñ shahnā.iyāñ
sab ko sat.h-e-āb par khilte kañval achchhe lageñ
kis ne dekhī haiñ 'humairā' jhiil kī gahrā.iyāñ
khul ke wazeh bhi na hone pai thin parchhaiyan
mujh ko zaKHmi kar gain kuchh aansuon ki kirchiyan
jab se us ki guftugu mafhum se 'ari hui
us ki nazmen pa rahi hain dad mein hamdardiyan
meri nazron mein bahut mashkuk hai us ka wujud
rah jis ki dekhti hain shahr-bhar ki laDkiyan
mujh ko us ke TuTte lahje mein do chizen milin
chand lamhon ka sukun aur 'umr ki tanhaiyan
us ko bahar ki faza mein raushni kaise mile
jis ko us ke ghar ka suraj de gaya tarikiyan
kis ko in safhat mein paikar nazar aae mera
kaun DhunDe zindagi ki Diary mein talKHiyan
aaj bhi manus si un KHushbuon ki yaad mein
meri palkon par utar aati hain kuchh hairaniyan
subh ki kirnen uDin sab ke dariche wa hue
dur wadi mein kahin bajne lagin shahnaiyan
sab ko sath-e-ab par khilte kanwal achchhe lagen
kis ne dekhi hain 'humaira' jhil ki gahraiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.