khula har manzar-e-fikr-o-nazar aahista aahista
khulā har manzar-e-fikr-o-nazar āhista āhista
chhaTā āḳhir ġhubār-e-rahguzar āhista āhista
vo ik be-nām sā koī jazīra bahr-e-imkā۔n meñ
parindoñ se milī ham ko ḳhabar āhista āhista
nazar meñ chashm-e-tar meñ yā kabhī āġhosh-e-dariyā meñ
guhar takmīl hotā hai magar āhista āhista
na jaane tishnagī thī yā koī ehsās-e-mahrūmī
jale ik aag meñ ham-umr bhar āhista āhista
vo kuchh bhūlī huī yādeñ vo dhundlī chand tasvīreñ
sadā.eñ detī haiñ ab bhī magar āhista āhista
hue jaate haiñ ḳhushiyoñ ke manāzir kam se kam 'anjum'
bichhaḌte jā rahe haiñ ham-safar āhista āhista
khula har manzar-e-fikr-o-nazar aahista aahista
chhaTa aaKHir ghubar-e-rahguzar aahista aahista
wo ek be-nam sa koi jazira bahr-e-imka۔n mein
parindon se mili hum ko KHabar aahista aahista
nazar mein chashm-e-tar mein ya kabhi aaghosh-e-dariya mein
guhar takmil hota hai magar aahista aahista
na jaane tishnagi thi ya koi ehsas-e-mahrumi
jale ek aag mein ham-umr bhar aahista aahista
wo kuchh bhuli hui yaaden wo dhundli chand taswiren
sadaen deti hain ab bhi magar aahista aahista
hue jate hain KHushiyon ke manazir kam se kam 'anjum'
bichhaDte ja rahe hain ham-safar aahista aahista
- Book : سکوت دشت (Pg. 75)
- Author : اقبال انجم
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس دہلی۔6 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.