khula mujh par dar-e-imkan rakhna
khulā mujh par dar-e-imkān rakhnā
mire maulā mujhe hairān rakhnā
yahī ik marhala manzil na Thahre
yahī ik marhala āsān rakhnā
mire dil kā varaq nikle na saada
koī ḳhvāhish koī armān rakhnā
ye dil tāq-e-charāġh-e-zar na Thahre
mire mālik mujhe nādān rakhnā
mire hālāt mujh ko chhū na paa.eñ
mujhe har haal meñ insān rakhnā
bharī rakhnā mire maulā ye āñkheñ
dukhoñ kī bārishoñ kā maan rakhnā
mire sāthī bhī mujh se be-navā haiñ
bisāteñ dekh kar tāvān rakhnā
ye din kyūñkar chaḌhā vo shab Dhalī kyuuñ
mujhe aayā na itnā dhyān rakhnā
mujhe bhī 'aam yā gumnām kar de
ki ik āzār hai pahchān rakhnā
asīr-e-umr ko aayā na ab tak
kitāb-e-hijr kā 'unvān rakhnā
havā kī tarah sahrā se guzar jā
safar meñ kyā sar-o-sāmān rakhnā
khula mujh par dar-e-imkan rakhna
mere maula mujhe hairan rakhna
yahi ek marhala manzil na Thahre
yahi ek marhala aasan rakhna
mere dil ka waraq nikle na sada
koi KHwahish koi arman rakhna
ye dil taq-e-charagh-e-zar na Thahre
mere malik mujhe nadan rakhna
mere haalat mujh ko chhu na paen
mujhe har haal mein insan rakhna
bhari rakhna mere maula ye aankhen
dukhon ki barishon ka man rakhna
mere sathi bhi mujh se be-nawa hain
bisaten dekh kar tawan rakhna
ye din kyunkar chaDha wo shab Dhali kyun
mujhe aaya na itna dhyan rakhna
mujhe bhi 'am ya gumnam kar de
ki ek aazar hai pahchan rakhna
asir-e-umr ko aaya na ab tak
kitab-e-hijr ka 'unwan rakhna
hawa ki tarah sahra se guzar ja
safar mein kya sar-o-saman rakhna
- Book : funoon-volume-21 (Pg. 272)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.