khula ye aadam-o-iblis ke fasane se
khulā ye ādam-o-iblīs ke fasāne se
ki ye jahān banā hai fareb khāne se
baḌī ajiib thiiñ ḳhush-fahmiyāñ zamāne se
ki ḳhush hue the nasheman jalā.e jaane se
asiir ho ke bhī ye raaz aaj tak na khulā
qafas ko kaun sī nisbat hai āshiyāne se
tamām maqsad-e-taḳhlīq ḳhaak ho jaatā
gurez karte agar ham fareb khāne se
ham ahl-e-zauq haiñ ham ko na Tok ai nāseh
ki aur bhaTkeñge ham rāsta batāne se
zarā sī baat ki ham ne fareb khāyā thā
fasāna ban gayā ye hāshiya chaḌhāne se
jo apne nafs kī izzat kā paas karte haiñ
shikast vo nahīñ khāte kabhī zamāne se
khula ye aadam-o-iblis ke fasane se
ki ye jahan bana hai fareb khane se
baDi ajib thin KHush-fahmiyan zamane se
ki KHush hue the nasheman jalae jaane se
asir ho ke bhi ye raaz aaj tak na khula
qafas ko kaun si nisbat hai aashiyane se
tamam maqsad-e-taKHliq KHak ho jata
gurez karte agar hum fareb khane se
hum ahl-e-zauq hain hum ko na Tok ai naseh
ki aur bhaTkenge hum rasta batane se
zara si baat ki hum ne fareb khaya tha
fasana ban gaya ye hashiya chaDhane se
jo apne nafs ki izzat ka pas karte hain
shikast wo nahin khate kabhi zamane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.