khula ye us se bichhaD kar ki pyar tha kitna
khulā ye us se bichhaḌ kar ki pyaar thā kitnā
vo shaḳhs mere liye be-qarār thā kitnā
har ek samt hai sūraj ke qatl kā charchā
fazā-e-shām pe ḳhuuñ kā nikhār thā kitnā
tamām 'umr jalā dhuup dhuup mere liye
tirī vafā kā shajar sāya-dār thā kitnā
haqīqatoñ ke nagar meñ ye TūTte hue ḳhvāb
na jaane un pe mujhe e'tibār thā kitnā
tumhāre sāmne aaya to ban gayā patthar
dil-o-nazar pe mujhe iḳhtiyār thā kitnā
ham apne aap hī gum ho ga.e tujhe pā kar
nigār-e-sub.h tirā intizār thā kitnā
bikhar ke rah gayā shīrāza-e-ḳhayāl 'qamar'
shu’ūr-e-fikr-o-nazar ḳhām-kār thā kitnā
khula ye us se bichhaD kar ki pyar tha kitna
wo shaKHs mere liye be-qarar tha kitna
har ek samt hai suraj ke qatl ka charcha
faza-e-sham pe KHun ka nikhaar tha kitna
tamam 'umr jala dhup dhup mere liye
teri wafa ka shajar saya-dar tha kitna
haqiqaton ke nagar mein ye TuTte hue KHwab
na jaane un pe mujhe e'tibar tha kitna
tumhaare samne aaya to ban gaya patthar
dil-o-nazar pe mujhe iKHtiyar tha kitna
hum apne aap hi gum ho gae tujhe pa kar
nigar-e-subh tera intizar tha kitna
bikhar ke rah gaya shiraaza-e-KHayal 'qamar'
shu’ur-e-fikr-o-nazar KHam-kar tha kitna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.