KHuld mein bhi hasb-e-adat waz farmaenge kya
ḳhuld meñ bhī hasb-e-ādat va.az farmā.eñge kyā
shaiḳh hūroñ se hajāmat apnī banvā.eñge kyā
vaañ dharā hī kyā hai Tiile aur pahāḌoñ ke sivā
rockitoñ par uḌne vaale chāñd par pā.eñge kyā
dekhte hī resha-ḳhatmī ho rahe haiñ piir jī
us murīdan se bhī apnā aqd paḌhvā.eñge kyā
pūchh baiThe gar kahīñ dhotī pahanñe kā sabab
koī ham ko ye to batlāo ki batlā.eñge kyā
bhaa.ī sāhab ek hī kā bojh sar par kam nahīñ
dūsrī ik aur aafat apne sar lā.eñge kyā
ḳhuld meñ bhī ho nahīñ saktā hai 'hāshim' kā nibāh
un ko ġham khāne kī aadat hai vahāñ khā.eñge kyā
KHuld mein bhi hasb-e-adat waz farmaenge kya
shaiKH huron se hajamat apni banwaenge kya
wan dhara hi kya hai Tile aur pahaDon ke siwa
rockiton par uDne wale chand par paenge kya
dekhte hi resha-KHatmi ho rahe hain pir ji
us muridan se bhi apna aqd paDhwaenge kya
puchh baiThe gar kahin dhoti pahanne ka sabab
koi hum ko ye to batlao ki batlaenge kya
bhai sahab ek hi ka bojh sar par kam nahin
dusri ek aur aafat apne sar laenge kya
KHuld mein bhi ho nahin sakta hai 'hashim' ka nibah
un ko gham khane ki aadat hai wahan khaenge kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.