khule jo dil ke hain wo baat saf karte hain
khule jo dil ke haiñ vo baat saaf karte haiñ
haqīqatoñ kā vahī e'tirāf karte haiñ
zarā sī baat pe ahbāb hote haiñ barham
kabhī ḳhatā.eñ bhī dushman muaaf karte haiñ
vo ittihād kī karte haiñ baat kis muñh se
jo paidā qaum meñ ḳhud iḳhtilāf karte haiñ
jinheñ hai aaj bhī da.avā chaman-parastī kā
vo sāzisheñ bhī chaman ke ḳhilāf karte haiñ
baḌā subūt hai un kī buland-zarfī kā
ḳhatā jo karke agar e'tirāf karte haiñ
junūñ meñ farz nahīñ bhūle tere dīvāne
harīm-e-nāz kā terī tavāf karte haiñ
'nazar' anā kā nasha is qadar hai logoñ meñ
ki harf-e-haq se bhī vo inhirāf karte haiñ
khule jo dil ke hain wo baat saf karte hain
haqiqaton ka wahi e'tiraf karte hain
zara si baat pe ahbab hote hain barham
kabhi KHataen bhi dushman muaf karte hain
wo ittihad ki karte hain baat kis munh se
jo paida qaum mein KHud iKHtilaf karte hain
jinhen hai aaj bhi dawa chaman-parasti ka
wo sazishen bhi chaman ke KHilaf karte hain
baDa subut hai un ki buland-zarfi ka
KHata jo karke agar e'tiraf karte hain
junun mein farz nahin bhule tere diwane
harim-e-naz ka teri tawaf karte hain
'nazar' ana ka nasha is qadar hai logon mein
ki harf-e-haq se bhi wo inhiraf karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.