khulega uqda-e-tauhid meri baat ke sath
khulegā uqda-e-tauhīd merī baat ke saath
sifat bhī rahtī hai har vaqt apnī zaat ke saath
kahīñ pe bikhrī hai tanhā.ī mere kamre meñ
kahīñ pe bikhrī haiñ tasvīreñ kāġhzāt ke saath
maiñ us se haar ke har pal duā.eñ māñgtā huuñ
ki us kī jiit bhī ho jaa.e merī maat ke saath
vo kal jo lāThī ko ik azhdahā banātā thā
vo mo.ajiza kahīñ gum hai ajā.ibāt ke saath
ye saarā paḌhnā paḌhānā hai peT kā chakkar
ki ahl-e-ilm bhī bikte haiñ pārchāt ke saath
kahīñ pe diin ke charche haiñ kufr se 'vāqif'
kahīñ pe kufr ke charche haiñ dīniyāt ke saath
khulega uqda-e-tauhid meri baat ke sath
sifat bhi rahti hai har waqt apni zat ke sath
kahin pe bikhri hai tanhai mere kamre mein
kahin pe bikhri hain taswiren kaghzat ke sath
main us se haar ke har pal duaen mangta hun
ki us ki jit bhi ho jae meri mat ke sath
wo kal jo laThi ko ek azhdaha banata tha
wo moajiza kahin gum hai ajaibaat ke sath
ye sara paDhna paDhana hai peT ka chakkar
ki ahl-e-ilm bhi bikte hain parchat ke sath
kahin pe din ke charche hain kufr se 'waqif'
kahin pe kufr ke charche hain diniyat ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.