khuli aankhen hain par soya hua hun
khulī āñkheñ haiñ par soyā huā huuñ
tumhārī yaad meñ Duubā huā huuñ
badan ik din chhuā thā tum ne merā
usī din se bahut mahkā huā huuñ
mujhe pāgal samajhtī hai ye duniyā
tasavvur meñ tire khoyā huā huuñ
jahāñ tum chhoḌ kar mujh ko ga.e the
usī raste pe maiñ baiThā huā huuñ
ḳhudā kā hai karam 'santosh' mujh par
har ik mahfil pe maiñ chhāyā huā huuñ
khuli aankhen hain par soya hua hun
tumhaari yaad mein Duba hua hun
badan ek din chhua tha tum ne mera
usi din se bahut mahka hua hun
mujhe pagal samajhti hai ye duniya
tasawwur mein tere khoya hua hun
jahan tum chhoD kar mujh ko gae the
usi raste pe main baiTha hua hun
KHuda ka hai karam 'santosh' mujh par
har ek mahfil pe main chhaya hua hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.