khuli aankhon ko rah di maine
khulī āñkhoñ ko raah dī maiñ ne
jab bhī taaza ġhazal kahī maiñ ne
dāstānoñ se qatl-gāhoñ tak
surḳh hoñToñ kī sharh kī maiñ ne
najd kī vādiyoñ se guzrā huuñ
dekhī hai qais kī galī maiñ ne
maiñ bhī shāmil huuñ us kī dhaḌkan meñ
apnī āvāz ḳhud sunī maiñ ne
vo jo aayā mire ḳhayāloñ meñ
baḌh ke peshānī chuum lī maiñ ne
kis ko samjhā.ūñ kaun samjhegā
aur tafhīm chhoḌ dī maiñ ne
us zamāne ke 'mīr' sāhib the
is zamāne meñ baat kī maiñ ne
dariyā kuuze meñ band karnā thā
baat ġhazloñ kī chheḌ dī maiñ ne
khuli aankhon ko rah di main ne
jab bhi taza ghazal kahi main ne
dastanon se qatl-gahon tak
surKH honTon ki sharh ki main ne
najd ki wadiyon se guzra hun
dekhi hai qais ki gali main ne
main bhi shamil hun us ki dhaDkan mein
apni aawaz KHud suni main ne
wo jo aaya mere KHayalon mein
baDh ke peshani chum li main ne
kis ko samjhaun kaun samjhega
aur tafhim chhoD di main ne
us zamane ke 'mir' sahib the
is zamane mein baat ki main ne
dariya kuze mein band karna tha
baat ghazlon ki chheD di main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.