khuli chhat ke kabutar the kabhi hum
khulī chhat ke kabūtar the kabhī ham
makāñ TuuTā to āñkheñ ho ga.iiñ nam
chalo dahlīz se āñkheñ uThā leñ
guzarte jā rahe vā'doñ ke mausam
zamīñ par gir na jaa.eñ rok lo tum
tumhāre ashk haiñ kitne mukarram
mudāvā zaḳhm kā kartā hai aise
namak ke saath meñ rakhtā hai marham
samundar chal ke aayā ghar hamāre
talātum ne kiyā hai naak meñ dam
muqaffal kar diyā hai ghar kisī ne
nikalnā sub.h tak lagtā hai mub.ham
khuli chhat ke kabutar the kabhi hum
makan TuTa to aankhen ho gain nam
chalo dahliz se aankhen uTha len
guzarte ja rahe wa'don ke mausam
zamin par gir na jaen rok lo tum
tumhaare ashk hain kitne mukarram
mudawa zaKHm ka karta hai aise
namak ke sath mein rakhta hai marham
samundar chal ke aaya ghar hamare
talatum ne kiya hai nak mein dam
muqaffal kar diya hai ghar kisi ne
nikalna subh tak lagta hai mubham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.