khuli faza ka ubharta nahin saman ghar mein
Interesting Fact
(Quarterly Adabiyat, Vol. 13-14-15)
khulī fazā kā ubhartā nahīñ samāñ ghar meñ
nahīñ banāte parinde ab āshiyāñ ghar meñ
jo chal rahī thiiñ to dahkā kiye dar-o-dīvār
rukīñ havā.eñ to bharne lagā dhuāñ ghar meñ
saje haiñ farsh lahū se to dar azāboñ se
ugī haiñ saḳht zamīnoñ kī khetiyāñ ghar meñ
sukūñ kī shakl ho paidā koī to kaise ho
yaqīñ hai sarhad-e-jāñ se pare gumāñ ghar meñ
ajiib taur se badle haiñ mausamoñ ne chalan
bahār dasht meñ rahtī hai aur ḳhizāñ ghar meñ
ulaT ga.e haiñ qarābat ke zābte saare
sabā.eñ qabr pe chaltī haiñ āñdhiyāñ ghar meñ
use hī maan liyā ham ne baḳht kā maavā
bajā rahā thā jo aaseb sīTiyāñ ghar meñ
nahīñ vo aañkh ki ham dushmanoñ ko pahchāneñ
dabā.e baiThe haiñ apnoñ kī haDDiyāñ ghar meñ
ibādatoñ ne bhī DhūñDe haiñ ab na.e maskan
namāz hone lagī dasht meñ azaañ ghar meñ
uThā ke sar kabhī nikle to ye na yaad rahā
ki chhoḌ aa.e haiñ aabā kī pagḌiyāñ ghar meñ
milā hai baaz adālat kā dar pe kyā kiije
paḌī hai ḳhauf se sahmī huī zabāñ ghar meñ
subūt-e-be-gahnī rah gayā ḳhayāloñ meñ
rakhā safā.ī kā yāroñ ne har bayāñ ghar meñ
hai 'arsh' aaj to fitrat bhī ham-rakāb-e-qazā
ghaTā.eñ auj-e-falak par haiñ bijliyāñ ghar meñ
khuli faza ka ubharta nahin saman ghar mein
nahin banate parinde ab aashiyan ghar mein
jo chal rahi thin to dahka kiye dar-o-diwar
rukin hawaen to bharne laga dhuan ghar mein
saje hain farsh lahu se to dar azabon se
ugi hain saKHt zaminon ki khetiyan ghar mein
sukun ki shakl ho paida koi to kaise ho
yaqin hai sarhad-e-jaan se pare guman ghar mein
ajib taur se badle hain mausamon ne chalan
bahaar dasht mein rahti hai aur KHizan ghar mein
ulaT gae hain qarabat ke zabte sare
sabaen qabr pe chalti hain aandhiyan ghar mein
use hi man liya hum ne baKHt ka mawa
baja raha tha jo aaseb siTiyan ghar mein
nahin wo aankh ki hum dushmanon ko pahchanen
dabae baiThe hain apnon ki haDDiyan ghar mein
ibaadaton ne bhi DhunDe hain ab nae maskan
namaz hone lagi dasht mein azan ghar mein
uTha ke sar kabhi nikle to ye na yaad raha
ki chhoD aae hain aaba ki pagDiyan ghar mein
mila hai baz adalat ka dar pe kya kije
paDi hai KHauf se sahmi hui zaban ghar mein
subut-e-be-gahni rah gaya KHayalon mein
rakha safai ka yaron ne har bayan ghar mein
hai 'arsh' aaj to fitrat bhi ham-rakab-e-qaza
ghaTaen auj-e-falak par hain bijliyan ghar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.