khuli jab aankh to dekha ki duniya sar pe rakkhi hai
khulī jab aañkh to dekhā ki duniyā sar pe rakkhī hai
ḳhumār-e-hosh meñ samjhe the ham Thokar pe rakkhī hai
ta.āruf ke tale pahchān ġhā.eb ho ga.ī apnī
ajab jaadū kī Topī ham ne apne sar pe rakkhī hai
mire hone kā ye tasdīq-nāma kis ne likkhā hai
gavāhī kis kī merī zaat ke mahzar pe rakkhī hai
achānak gar vo be-āmad hī kamre meñ barāmad ho
tavajjoh ham ne to markūz bām-o-dar pe rakkhī hai
ajab collage hai qismat kā mahrūmī kā mehnat kā
sitāre chhat pe rakkhe haiñ thakan bistar pe rakkhī hai
matā-e-haq-aqīda ek sajde meñ churā laayā
ḳhirad juuyā thī kis dahlīz par kis dar pe rakkhī hai
nahīñ qaul-o-qarār-e-jān-o-dil kaafī na the us ko
qasam us shoḳh ne āḳhir hamāre sar pe rakkhī hai
hisāb-e-nek-o-bad jo bhī ho ham itnā samajhte haiñ
binā-e-hashr dard-e-dil pe chashm-e-tar pe rakkhī hai
khuli jab aankh to dekha ki duniya sar pe rakkhi hai
KHumar-e-hosh mein samjhe the hum Thokar pe rakkhi hai
taaruf ke tale pahchan ghaeb ho gai apni
ajab jadu ki Topi hum ne apne sar pe rakkhi hai
mere hone ka ye tasdiq-nama kis ne likkha hai
gawahi kis ki meri zat ke mahzar pe rakkhi hai
achanak gar wo be-amad hi kamre mein baramad ho
tawajjoh hum ne to markuz baam-o-dar pe rakkhi hai
ajab collage hai qismat ka mahrumi ka mehnat ka
sitare chhat pe rakkhe hain thakan bistar pe rakkhi hai
mata-e-haq-aqida ek sajde mein chura laya
KHirad juya thi kis dahliz par kis dar pe rakkhi hai
nahin qaul-o-qarar-e-jaan-o-dil kafi na the us ko
qasam us shoKH ne aaKHir hamare sar pe rakkhi hai
hisab-e-nek-o-bad jo bhi ho hum itna samajhte hain
bina-e-hashr dard-e-dil pe chashm-e-tar pe rakkhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.