KHulq se dur raha jo wo misali na hua
ḳhulq se duur rahā jo vo misālī na huā
us ko hāsil kabhī e'zāz zarā bhī na huā
na.ī tahzīb kā parvarda nigār-e-bebāk
bā-hayāoñ meñ kabhī shān-e-tajallī na huā
us ke kirdār kī nafrat pe rakhī hai buniyād
pyār-āmāda ba.īñ-vajh vo af’ī na huā
husn parde meñ rahā jitnā huā jān-e-nazar
ho ke be-parda koī husn haqīqī na huā
'ijz kī raah se haTnā mirī fitrat hī na thī
lab se yuuñ mere adā harf-e-ta’allī na huā
sab kā anjām bahar-hāl yahī hotā hai
kyā pas-e-marg har ik aadmī miTTī na huā
us kī fitrat ko milī nafs kī ġhairat 'abrār'
dast-e-ḳhuddār kabhī dast-e-savālī na huā
KHulq se dur raha jo wo misali na hua
us ko hasil kabhi e'zaz zara bhi na hua
nai tahzib ka parwarda nigar-e-bebak
ba-hayaon mein kabhi shan-e-tajalli na hua
us ke kirdar ki nafrat pe rakhi hai buniyaad
pyar-amada bain-wajh wo af’i na hua
husn parde mein raha jitna hua jaan-e-nazar
ho ke be-parda koi husn haqiqi na hua
'ijz ki rah se haTna meri fitrat hi na thi
lab se yun mere ada harf-e-ta’alli na hua
sab ka anjam bahar-haal yahi hota hai
kya pas-e-marg har ek aadmi miTTi na hua
us ki fitrat ko mili nafs ki ghairat 'abrar'
dast-e-KHuddar kabhi dast-e-sawali na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.