khulta hai kisi par to kisi par nahin khulta
khultā hai kisī par to kisī par nahīñ khultā
ham-rāz 'ajab hai ki hamī par nahīñ khultā
tum saath ho mere ki mire saath nahīñ ho
ye kaisā izāfa hai kamī par nahīñ khultā
ik aah bhī hotī hai pas-e-zabt-o-pas-e-lab
ḳhāmosh paḌe rahnā sabhī par nahīñ khultā
hone kā gumāñ hai ki na hone kā yaqīñ hai
auroñ pe to khultā hai mujhī par nahīñ khultā
girye kī suhūlat jo khulī hai to khulā hai
ġham kis pe khule vo jo ġhamī par nahīñ khultā
khulne kī kahānī kā dar-o-bast bhī az-ḳhud
jo phuul pe khultā hai kalī par nahīñ khultā
sarmastī-o-sarshārī-o-sar-afrāzī khule kyā
jab mere taḳhayyul kā koī par nahīñ khultā
khulta hai kisi par to kisi par nahin khulta
ham-raaz 'ajab hai ki hami par nahin khulta
tum sath ho mere ki mere sath nahin ho
ye kaisa izafa hai kami par nahin khulta
ek aah bhi hoti hai pas-e-zabt-o-pas-e-lab
KHamosh paDe rahna sabhi par nahin khulta
hone ka guman hai ki na hone ka yaqin hai
auron pe to khulta hai mujhi par nahin khulta
girye ki suhulat jo khuli hai to khula hai
gham kis pe khule wo jo ghami par nahin khulta
khulne ki kahani ka dar-o-bast bhi az-KHud
jo phul pe khulta hai kali par nahin khulta
sarmasti-o-sarshaari-o-sar-afraazi khule kya
jab mere taKHayyul ka koi par nahin khulta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.