khulti nahin hain kaliyan shaKHen nahin mahaktin
khulti nahin hain kaliyan shaKHen nahin mahaktin
Khaleequzzaman Nusrat
MORE BYKhaleequzzaman Nusrat
khultī nahīñ haiñ kaliyāñ shāḳheñ nahīñ mahaktīñ
chiḌiyāñ nahīñ chahaktīñ sub.heñ nahīñ mahaktīñ
āñkhoñ meñ bas ga.e haiñ kuchh ḳhvāb phuul jaise
phir kyā sabab hai merī shāmeñ nahīñ mahaktīñ
fasl-e-bahār jis par kartī thī āshiyāna
vo peḌ aaj bhī hai shāḳheñ nahīñ mahaktīñ
chehra hasīn ho to ġhāze kī kyā zarūrat
shāyad isī binā par ġhazleñ nahīñ mahaktīñ
ġhuncha-dahan mileñge yuuñ to bahut se lekin
'nusrat' har aadmī kī bāteñ nahīñ mahaktīñ
khulti nahin hain kaliyan shaKHen nahin mahaktin
chiDiyan nahin chahaktin subhen nahin mahaktin
aankhon mein bas gae hain kuchh KHwab phul jaise
phir kya sabab hai meri shamen nahin mahaktin
fasl-e-bahaar jis par karti thi aashiyana
wo peD aaj bhi hai shaKHen nahin mahaktin
chehra hasin ho to ghaze ki kya zarurat
shayad isi bina par ghazlen nahin mahaktin
ghuncha-dahan milenge yun to bahut se lekin
'nusrat' har aadmi ki baaten nahin mahaktin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.