KHulus chehron se hai numayan to phir nazar bad-guman kyon hai
KHulus chehron se hai numayan to phir nazar bad-guman kyon hai
Syed Muzaffar Ahmad Ziya
MORE BYSyed Muzaffar Ahmad Ziya
ḳhulūs chehroñ se hai numāyāñ to phir nazar bad-gumān kyoñ hai
batā ki begānagī kā aalam mire tire darmiyān kyoñ hai
yahāñ vafā kī na qadr-o-qīmat na āshnā-e-vafā hai koī
mujhe vafā kā sila milegā ye mere dil meñ gumān kyoñ hai
kabhī na maiñ us taraf se guzrā na merā dast-e-talab hī phailā
to phir ye rāh-e-talab meñ āḳhir mire qadam kā nishān kyoñ hai
har ek dar par jabīñ jhukānā tujhe mubārak magar ye sun le
jo tujh meñ ḳhuddāriyāñ nahīñ haiñ to ishq kī ān-bān kyoñ hai
bahut dinoñ meñ amaañ milī hai ḳhud apne saa.e meñ aa ke mujh ko
ye sochtā huuñ ki ghar ke bāhar kisī taraf sā.ebān kyoñ hai
na un kā jalva na un kī yādeñ na un kā chehra na un kā partav
dimāġh rah rah ke pūchhtā hai makīñ nahīñ to makān kyoñ hai
koī to is meñ fareb hogā jise 'ziyā' maiñ samajh na paayā
na jaane kab se ye sochtā huuñ vo is qadar mehrbān kyoñ hai
KHulus chehron se hai numayan to phir nazar bad-guman kyon hai
bata ki beganagi ka aalam mere tere darmiyan kyon hai
yahan wafa ki na qadr-o-qimat na aashna-e-wafa hai koi
mujhe wafa ka sila milega ye mere dil mein guman kyon hai
kabhi na main us taraf se guzra na mera dast-e-talab hi phaila
to phir ye rah-e-talab mein aaKHir mere qadam ka nishan kyon hai
har ek dar par jabin jhukana tujhe mubarak magar ye sun le
jo tujh mein KHuddariyan nahin hain to ishq ki aan-ban kyon hai
bahut dinon mein aman mili hai KHud apne sae mein aa ke mujh ko
ye sochta hun ki ghar ke bahar kisi taraf saeban kyon hai
na un ka jalwa na un ki yaaden na un ka chehra na un ka partaw
dimagh rah rah ke puchhta hai makin nahin to makan kyon hai
koi to is mein fareb hoga jise 'ziya' main samajh na paya
na jaane kab se ye sochta hun wo is qadar mehrban kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.