KHulus de ke saza-war nafraton ka hua
ḳhulūs de ke sazā-vār nafratoñ kā huā
na pūchh hashr jo pichhlī rafāqatoñ kā huā
hañse to paḌ ga.iiñ chehre pe kuchh ḳharāsheñ aur
shikār ḳhanda-e-lab kin jarāhatoñ kā huā
kahoge kyā jo tumhārā vo haal pūchhegā
ki pāra-pāra garebāñ shikāyatoñ kā huā
vo ḳhūn-e-dil hī sahī kuchh qalam se Tapkā to
chalo nuzūl to ham par bhī rahmatoñ kā huā
hisār-e-harf-o-hunar toḌ kar nikal jā.ūñ
kahāñ pahuñch ke ḳhayāl apnī vus.atoñ kā huā
chalā thā maiñ ki na.ī āgahī pe kuchh likhkhūñ
tamām silsila barham ibāratoñ kā huā
tū ek lafz hai ma.anī pe ḳhud dalālat kar
rahā bikhar ke jo ḳhūgar vazāhatoñ kā huā
baḌā hunar hai salīqe se baat kahnā bhī
'fazā' ke baad hī itmām hujjatoñ kā huā
KHulus de ke saza-war nafraton ka hua
na puchh hashr jo pichhli rafaqaton ka hua
hanse to paD gain chehre pe kuchh KHarashen aur
shikar KHanda-e-lab kin jarahaton ka hua
kahoge kya jo tumhaara wo haal puchhega
ki para-para gareban shikayaton ka hua
wo KHun-e-dil hi sahi kuchh qalam se Tapka to
chalo nuzul to hum par bhi rahmaton ka hua
hisar-e-harf-o-hunar toD kar nikal jaun
kahan pahunch ke KHayal apni wusaton ka hua
chala tha main ki nai aagahi pe kuchh likhkhun
tamam silsila barham ibaraton ka hua
tu ek lafz hai mani pe KHud dalalat kar
raha bikhar ke jo KHugar wazahaton ka hua
baDa hunar hai saliqe se baat kahna bhi
'faza' ke baad hi itmam hujjaton ka hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.