KHulus-e-rind se mat intiqam le saqi
ḳhulūs-e-rind se mat intiqām le saaqī
sharāb-e-ġham jo nahīñ hai to jaam le saaqī
nahīñ jahāñ meñ koī aur ġham ke māroñ kā
ye mai-kada hai mohabbat se kaam le saaqī
nigāh-e-lutf se us ko navāztā hai tujhe
jo mai-kade meñ taqaddus kā naam le saaqī
shikast-e-jām kā sunte haiñ vaqt aa pahuñchā
ab apne haath se dil apnā thaam le saaqī
agar tujhe nahīñ manzūr ehtirām apnā
chalā vo apne 'vasī' kā salām le saaqī
KHulus-e-rind se mat intiqam le saqi
sharab-e-gham jo nahin hai to jam le saqi
nahin jahan mein koi aur gham ke maron ka
ye mai-kada hai mohabbat se kaam le saqi
nigah-e-lutf se us ko nawazta hai tujhe
jo mai-kade mein taqaddus ka nam le saqi
shikast-e-jam ka sunte hain waqt aa pahuncha
ab apne hath se dil apna tham le saqi
agar tujhe nahin manzur ehtiram apna
chala wo apne 'wasi' ka salam le saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.