KHulus isar parsai haya sadaqat hijab likhkhun
ḳhulūs īsār pārsā.ī hayā sadāqat hijāb likhkhūñ
maiñ lafz paanī ke DhūñD lā.ūñ to barf kī ye kitāb likhkhūñ
na maiñ huuñ gulchīñ na bāġhbāñ huuñ maiñ is gulistāñ kā mohtasib huuñ
zarā maiñ kāñTe shumār kar luuñ to par guloñ kā hisāb likhkhūñ
miTe miTe se hurūf ḳhat ke na jaane kyā kyā sunā rahe haiñ
maiñ āñsuoñ kī zabāñ samajh luuñ to tere ḳhat kā javāb likhkhūñ
mahaktā paikar hasīn rangat ye mast āñkheñ jhukī jhukī sī
batā tujhe maiñ gulāb likhkhūñ nasha likhkhūñ yā sharāb likhkhūñ
batā ye tū hī in āñsuoñ se maiñ zindagī ke likhūñ masā.il
ki tere chehre ke ḳhūbsūrat nuqūsh par ik kitāb likhkhūñ
jo bhīgī palkoñ se tum ne ik din vafā ke vā'de kiye the mujh se
tumhīñ batāo ki ab maiñ un ko sarāb likhkhūñ ki ḳhvāb likhkhūñ
sahar ke sar haiñ na jaane kitnī añdherī rātoñ ke qarz 'āmir'
dhueñ charāġhoñ ke deñ ijāzat to raushnī kā hisāb likhkhūñ
KHulus isar parsai haya sadaqat hijab likhkhun
main lafz pani ke DhunD laun to barf ki ye kitab likhkhun
na main hun gulchin na baghban hun main is gulistan ka mohtasib hun
zara main kanTe shumar kar lun to par gulon ka hisab likhkhun
miTe miTe se huruf KHat ke na jaane kya kya suna rahe hain
main aansuon ki zaban samajh lun to tere KHat ka jawab likhkhun
mahakta paikar hasin rangat ye mast aankhen jhuki jhuki si
bata tujhe main gulab likhkhun nasha likhkhun ya sharab likhkhun
bata ye tu hi in aansuon se main zindagi ke likhun masail
ki tere chehre ke KHubsurat nuqush par ek kitab likhkhun
jo bhigi palkon se tum ne ek din wafa ke wa'de kiye the mujh se
tumhin batao ki ab main un ko sarab likhkhun ki KHwab likhkhun
sahar ke sar hain na jaane kitni andheri raaton ke qarz 'amir'
dhuen charaghon ke den ijazat to raushni ka hisab likhkhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.