KHulus-o-mehr ke sanche mein Dhal ke dekhen to
ḳhulūs-o-mehr ke sāñche meñ Dhal ke dekheñ to
rah-e-hayāt ko apnī badal ke dekheñ to
hasīñ haiñ aur bhī is kār-zār-e-hastī meñ
hisār-e-zāt se bāhar nikal ke dekheñ to
falak se chāñd utar aa.egā zamīñ pe kabhī
sharīr bachche kī sūrat machal ke dekheñ to
ujāle phaileñge hastī ke goshe goshe meñ
misāl-e-sham.a añdhere meñ jal ke dekheñ to
vahī hai tāb-o-tavāñ ishq kā zamāne meñ
karishme aaj bhī husn-e-azal ke dekheñ to
mashām-e-jāñ mahak uTTheñge us kī ḳhushbū se
vatan kī ḳhaak ko chehre pe mal ke dekheñ to
mahāz-e-jang pe DhūñDā jise vo ghar pe milī
ajab haiñ faisle ye bhī ajal ke dekheñ to
bahār aa.ī hai kaisī chaman meñ ham-nafaso
gharoñ se nikleñ gulistāñ meñ chal ke dekheñ to
kalas chamak uThe 'siddīq' dhuup phail ga.ī
uTheñ bhī ḳhvāb se āñkhoñ ko mal ke dekheñ to
KHulus-o-mehr ke sanche mein Dhal ke dekhen to
rah-e-hayat ko apni badal ke dekhen to
hasin hain aur bhi is kar-zar-e-hasti mein
hisar-e-zat se bahar nikal ke dekhen to
falak se chand utar aaega zamin pe kabhi
sharir bachche ki surat machal ke dekhen to
ujale phailenge hasti ke goshe goshe mein
misal-e-shama andhere mein jal ke dekhen to
wahi hai tab-o-tawan ishq ka zamane mein
karishme aaj bhi husn-e-azal ke dekhen to
masham-e-jaan mahak uTThenge us ki KHushbu se
watan ki KHak ko chehre pe mal ke dekhen to
mahaz-e-jang pe DhunDa jise wo ghar pe mili
ajab hain faisle ye bhi ajal ke dekhen to
bahaar aai hai kaisi chaman mein ham-nafaso
gharon se niklen gulistan mein chal ke dekhen to
kalas chamak uThe 'siddiq' dhup phail gai
uThen bhi KHwab se aankhon ko mal ke dekhen to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.