KHulus-o-wafa ka chaman chumte hain
ḳhulūs-o-vafā kā chaman chūmte haiñ
na.ī sub.h kī ham kiran chūmte haiñ
na kar ham se mansūb vahshat-pasandī
ham ulfat meñ ḳhāk-e-vatan chūmte haiñ
hai tārīḳh shāhid zamāna bhī shāhid
miyāñ hausle hī gagan chūmte haiñ
nazar maut se vo churāte nahīñ haiñ
jo dīvāne hañs kar kafan chūmte haiñ
yatīmoñ pe nazar-e-karam karne vaale
farishte tirā pairahan chūmte haiñ
KHulus-o-wafa ka chaman chumte hain
nai subh ki hum kiran chumte hain
na kar hum se mansub wahshat-pasandi
hum ulfat mein KHak-e-watan chumte hain
hai tariKH shahid zamana bhi shahid
miyan hausle hi gagan chumte hain
nazar maut se wo churaate nahin hain
jo diwane hans kar kafan chumte hain
yatimon pe nazar-e-karam karne wale
farishte tera pairahan chumte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.