KHulus pyar wafa aur be-ruKHi ka libas
ḳhulūs pyaar vafā aur be-ruḳhī kā libās
badaltā rahtā hai ye vaqt aadmī kā libās
chhupe haiñ saare sitāre hai tīrgī kā libās
milā na shab ko kabhī roz chāñdnī kā libās
bahut hī qīmtī hai pairahan charāġhoñ kā
jalā ke ḳhud ko milā un ko raushnī kā libās
libās-e-ġham bhī masarrat se tū pahan le bashar
tamām umr kise mil sakā ḳhushī kā libās
baḌe qarīne se sab ġham hue haiñ poshīda
milā hai jab se mire dil ko shā.erī kā libās
usī ko chain mayassar yahāñ hai jis ne bhī
utaar pheñkā ho ehsās-e-kamtarī kā libās
hai aarzū ki ho ab maġhfirat nasīb mujhe
purānā ho gayā hai merī zindagī kā libās
KHulus pyar wafa aur be-ruKHi ka libas
badalta rahta hai ye waqt aadmi ka libas
chhupe hain sare sitare hai tirgi ka libas
mila na shab ko kabhi roz chandni ka libas
bahut hi qimti hai pairahan charaghon ka
jala ke KHud ko mila un ko raushni ka libas
libas-e-gham bhi masarrat se tu pahan le bashar
tamam umr kise mil saka KHushi ka libas
baDe qarine se sab gham hue hain poshida
mila hai jab se mere dil ko shaeri ka libas
usi ko chain mayassar yahan hai jis ne bhi
utar phenka ho ehsas-e-kamtari ka libas
hai aarzu ki ho ab maghfirat nasib mujhe
purana ho gaya hai meri zindagi ka libas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.