KHumar apni ana ka utar chuka kab ka
ḳhumār apnī anā kā utar chukā kab kā
tire havāle to maiñ ḳhud ko kar chukā kab kā
vo ek lamha ki jab tū hī to thā paas mire
vo ek lamha-e-vahdat guzar chukā kab kā
ye maiñ jo tujh ko nazar aa rahā huuñ maiñ huuñ kahāñ
maiñ ḳhaak ban ke havā meñ bikhar chukā kab kā
kaho ki phir se utāre vo qalb meñ nashtar
purānā zaḳhm mire dil kā bhar chukā kab kā
ye aur baat abhī saañs kī hai āmad-o-raft
maiñ apne jism ke andar to mar chukā kab kā
kahāñ haiñ 'yāvar'-e-āshufta-sar bulāo unheñ
nigār-ḳhāna-e-maqtal sañvar chukā kab kā
KHumar apni ana ka utar chuka kab ka
tere hawale to main KHud ko kar chuka kab ka
wo ek lamha ki jab tu hi to tha pas mere
wo ek lamha-e-wahdat guzar chuka kab ka
ye main jo tujh ko nazar aa raha hun main hun kahan
main KHak ban ke hawa mein bikhar chuka kab ka
kaho ki phir se utare wo qalb mein nashtar
purana zaKHm mere dil ka bhar chuka kab ka
ye aur baat abhi sans ki hai aamad-o-raft
main apne jism ke andar to mar chuka kab ka
kahan hain 'yawar'-e-ashufta-sar bulao unhen
nigar-KHana-e-maqtal sanwar chuka kab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.