ḳhumār-e-shab meñ zamīñ kā chehra nikhar rahā thā
koī sitāroñ kī pālkī meñ utar rahā thā
nahā rahe the shajar kisī jhiil ke kināre
falak ke taḳhte pe chāñd baiThā sañvar rahā thā
havā.eñ dīvār-o-dar ke pīchhe se jhāñktī thiiñ
dhuāñ lapeTe koī galī se guzar rahā thā
khaḌā thā merī galī se bāhar jahān saarā
maiñ ḳhvāb meñ apne aap se baat kar rahā thā
havā kā jhoñkā udaas kar ke chalā gayā hai
abhī abhī to maiñ jām-e-ġhaflat ko bhar rahā thā
aur ab Thahar jā 'naved' aage to kuchh nahīñ hai
tū umr bhar is ḳhayāl se be-ḳhabar rahā thā
KHumar-e-shab mein zamin ka chehra nikhar raha tha
koi sitaron ki palki mein utar raha tha
naha rahe the shajar kisi jhil ke kinare
falak ke taKHte pe chand baiTha sanwar raha tha
hawaen diwar-o-dar ke pichhe se jhankti thin
dhuan lapeTe koi gali se guzar raha tha
khaDa tha meri gali se bahar jahan sara
main KHwab mein apne aap se baat kar raha tha
hawa ka jhonka udas kar ke chala gaya hai
abhi abhi to main jam-e-ghaflat ko bhar raha tha
aur ab Thahar ja 'nawed' aage to kuchh nahin hai
tu umr bhar is KHayal se be-KHabar raha tha
Source :
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 515)
-
Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.