KHumar-KHana-e-lafz-o-bayan tak hi hai
ḳhumār-ḳhāna-e-lafz-o-bayān tak hī hai
ki chāhatoñ kā nasha imtihān tak hī hai
phir is ke baa'd bikharnā hai mujh ko har lamha
ki ye sukūn faqat tere dhyān tak hī hai
bulandiyoñ ke safar se na is qadar ghabrā
ye ḳhauf sā jo hai pahlī uḌaan tak hī hai
nikal bhī jaao kināre kī samt aise meñ
havā kā zor abhī bādbān tak hī hai
ḳhudā hue to vafāoñ kā bāñkpan bhī gayā
khiñchāv tiir kā goyā kamān tak hī hai
shikastagī pe mirī dekh itnā tanz na kar
ye ukhḌā ukhḌā tanaffus takān tak hī hai
'ra.ūf' duur talak rāste meñ koī nahīñ
ki ye tazād-e-sadā tere kaan tak hī hai
KHumar-KHana-e-lafz-o-bayan tak hi hai
ki chahaton ka nasha imtihan tak hi hai
phir is ke ba'd bikharna hai mujh ko har lamha
ki ye sukun faqat tere dhyan tak hi hai
bulandiyon ke safar se na is qadar ghabra
ye KHauf sa jo hai pahli uDan tak hi hai
nikal bhi jao kinare ki samt aise mein
hawa ka zor abhi baadban tak hi hai
KHuda hue to wafaon ka bankpan bhi gaya
khinchaw tir ka goya kaman tak hi hai
shikastagi pe meri dekh itna tanz na kar
ye ukhDa ukhDa tanaffus takan tak hi hai
'rauf' dur talak raste mein koi nahin
ki ye tazad-e-sada tere kan tak hi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.