KHunuk hawa ka ye jhonka sharar kaise hua
ḳhunuk havā kā ye jhoñkā sharār kaise huā
ye merā shahr dukhoñ kā dayār kaise huā
bujhe bujhe the bahut naqsh jab ki mausam ke
lahū ke rañg kā un pe nikhār kaise huā
banā huuñ jis se ḳhatā-kār sab kī ā.ankhoñ meñ
vo jurm mujh se batā baar baar kaise huā
milā na jis ko bulāvā kabhī samundar kā
vo shaḳhs mauj-e-balā kā shikār kaise huā
ba-shakl-e-umr milī bhiik jis se lamhoñ kī
vo vaqt mere liye be-kanār kaise huā
vo jism jis pe bahut naaz thā tujhe 'fikrī'
vo jism dasht-e-fanā kā ġhubār kaise huā
KHunuk hawa ka ye jhonka sharar kaise hua
ye mera shahr dukhon ka dayar kaise hua
bujhe bujhe the bahut naqsh jab ki mausam ke
lahu ke rang ka un pe nikhaar kaise hua
bana hun jis se KHata-kar sab ki aaankhon mein
wo jurm mujh se bata bar bar kaise hua
mila na jis ko bulawa kabhi samundar ka
wo shaKHs mauj-e-bala ka shikar kaise hua
ba-shakl-e-umr mili bhik jis se lamhon ki
wo waqt mere liye be-kanar kaise hua
wo jism jis pe bahut naz tha tujhe 'fikri'
wo jism dasht-e-fana ka ghubar kaise hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.