KHush bahut aate hain mujhko raste dushwar se
ḳhush bahut aate haiñ mujh ko rāste dushvār se
sar-phirā huuñ maiñ nahīñ Dartā kisī dīvār se
manziloñ ko pal meñ pīchhe chhoḌtā jaatā huuñ maiñ
rāste bhī ḳhauf khāte haiñ mirī raftār se
ḳhāmushī se sūrateñ miT jā.eñgī manzar se kyā
kuchh nahīñ kahnā kisī ko ā.ina-bardār se
ḳhushk āñkhoñ se maiñ taktā huuñ kināre kī taraf
mujh ko sairābī bulātī hai samundar paar se
kyā mirā ghar bhī nahīñ haq meñ ki maiñ tanhā rahūñ
itnī vahshat ho rahī hai kyuuñ dar-o-dīvār se
āsmānoñ par paḌāv Dālnā to hai mujhe
guftugū hotī rahegī sābit-o-sayyār se
tum bhī ab kuchh aur socho is mohabbat ke sivā
maiñ bhī ab uktā gayā huuñ ek hī āzār se
maiñ sharīfoñ se sharāfat meñ bhī aage hī rahā
maiñ ne chālākī bhī sīkhī paa.e ke ayyār se
rāt-bhar is shahr meñ vo sānehe hote haiñ 'zeb'
dil dahal uThtā hai merā sub.h ke aḳhbār se
KHush bahut aate hain mujh ko raste dushwar se
sar-phira hun main nahin Darta kisi diwar se
manzilon ko pal mein pichhe chhoDta jata hun main
raste bhi KHauf khate hain meri raftar se
KHamushi se suraten miT jaengi manzar se kya
kuchh nahin kahna kisi ko aaina-bardar se
KHushk aankhon se main takta hun kinare ki taraf
mujh ko sairabi bulati hai samundar par se
kya mera ghar bhi nahin haq mein ki main tanha rahun
itni wahshat ho rahi hai kyun dar-o-diwar se
aasmanon par paDaw Dalna to hai mujhe
guftugu hoti rahegi sabit-o-sayyar se
tum bhi ab kuchh aur socho is mohabbat ke siwa
main bhi ab ukta gaya hun ek hi aazar se
main sharifon se sharafat mein bhi aage hi raha
main ne chaalaki bhi sikhi pae ke ayyar se
raat-bhar is shahr mein wo sanehe hote hain 'zeb'
dil dahal uThta hai mera subh ke aKHbar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.