KHush-baKHtiyon ke dil-nashin aasab tum to ho
ḳhush-baḳhtiyoñ ke dil-nashīñ a.asāb tum to ho
husn-e-karam ke paikar-e-zartāb tum to ho
phailī huī haiñ fikr kī kirnoñ kī shoḳhiyāñ
charḳh-e-jamāl-o-husn ke mahtāb tum to ho
sochoñ ke ratjagoñ pe hai ġhāza bahār kā
ra.anā.iyoñ kī vādī-e-shādāb tum to ho
sāz-o-surod-e-ishq ke bajte haiñ taar taar
tanhā.iyoñ meñ dard kī mizrāb tum to ho
taaza haiñ terī yaad se sāñsoñ ke silsile
in silsiloñ kī mauj-e-samar-yāb tum to ho
har talḳhī-e-hayāt kā zahrāb pī ga.e
jis par jiye halāvat-e-nāyāb tum to ho
rusvā.iyoñ ke des meñ bikte rahe zamīr
nāmūs-e-qaum ḳhitta-e-punjab tum to ho
pighlā sakī na ibrat-o-ġhairat kī aañch kuchh
uf munjamid se sūrat-e-barfāb tum to ho
barbat ko thaam dil ko pakaḌ kar sukūñ se baiTh
mahfil meñ 'ain' vāqif-e-ādāb tum to ho
KHush-baKHtiyon ke dil-nashin aasab tum to ho
husn-e-karam ke paikar-e-zartab tum to ho
phaili hui hain fikr ki kirnon ki shoKHiyan
charKH-e-jamal-o-husn ke mahtab tum to ho
sochon ke ratjagon pe hai ghaza bahaar ka
ranaiyon ki wadi-e-shadab tum to ho
saz-o-surod-e-ishq ke bajte hain tar tar
tanhaiyon mein dard ki mizrab tum to ho
taza hain teri yaad se sanson ke silsile
in silsilon ki mauj-e-samar-yab tum to ho
har talKHi-e-hayat ka zahrab pi gae
jis par jiye halawat-e-nayab tum to ho
ruswaiyon ke des mein bikte rahe zamir
namus-e-qaum KHitta-e-punjab tum to ho
pighla saki na ibrat-o-ghairat ki aanch kuchh
uf munjamid se surat-e-barfab tum to ho
barbat ko tham dil ko pakaD kar sukun se baiTh
mahfil mein 'ain' waqif-e-adab tum to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.