KHush-dili se bazm-e-duniya se guzar jaenge hum
ḳhush-dilī se bazm-e-duniyā se guzar jā.eñge ham
ai dil-e-be-e-āsrā ik roz mar jā.eñge ham
merī kashtī ke musāfir sab samajhte haiñ ye ramz
Duub jā.eñge agar to paar utar jā.eñge ham
ik musalsal be-dilī yā ik mukammal be-ḳhudī
apnī hālat ko agar dekheñ to Dar jā.eñge ham
jism-e-fānī shukriya terā hameñ taskīn hai
ek din dasht-e-balā ke paar utar jā.eñge ham
ghar kise kahte haiñ kumba kis balā kā naam hai
in savāloñ meñ agar uljhe to mar jā.eñge ham
jam.a karte karte ḳhud ko aane lagtā hai ḳhayāl
phir se koī hādisa hogā bikhar jā.eñge ham
KHush-dili se bazm-e-duniya se guzar jaenge hum
ai dil-e-be-e-asra ek roz mar jaenge hum
meri kashti ke musafir sab samajhte hain ye ramz
Dub jaenge agar to par utar jaenge hum
ek musalsal be-dili ya ek mukammal be-KHudi
apni haalat ko agar dekhen to Dar jaenge hum
jism-e-fani shukriya tera hamein taskin hai
ek din dasht-e-bala ke par utar jaenge hum
ghar kise kahte hain kumba kis bala ka nam hai
in sawalon mein agar uljhe to mar jaenge hum
jama karte karte KHud ko aane lagta hai KHayal
phir se koi hadisa hoga bikhar jaenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.