KHush-fahmiyan bahut thin wo manzar bhi aaega

KHush-fahmiyan bahut thin wo manzar bhi aaega
Syeda Nafis Bano shama
MORE BYSyeda Nafis Bano shama
ḳhush-fahmiyāñ bahut thiiñ vo manzar bhī aa.egā
jo shaḳhs jā chukā hai palaT kar bhī aa.egā
barbādiyoñ pe merī bahut ḳhush na ho ki ab
in āñdhiy.oñ kī zad meñ tirā ghar bhī aa.egā
miTTī kā jism le ke chale ho to soch lo
ik roz rāste meñ samundar bhī aa.egā
maiñ aise dekhtī huuñ har ik raat chāñd ko
jaise vo āsmāñ se zamīñ par bhī aa.egā
duniyā ke is sulūk kā ġham 'sham'' kis liye
jab aa.ina ho koī to patthar bhī āye.gā
KHush-fahmiyan bahut thin wo manzar bhi aaega
jo shaKHs ja chuka hai palaT kar bhi aaega
barbaadiyon pe meri bahut KHush na ho ki ab
in aandhiyon ki zad mein tera ghar bhi aaega
miTTi ka jism le ke chale ho to soch lo
ek roz raste mein samundar bhi aaega
main aise dekhti hun har ek raat chand ko
jaise wo aasman se zamin par bhi aaega
duniya ke is suluk ka gham 'sham kis liye
jab aaina ho koi to patthar bhi aayega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.