KHush-haali kisi roz bhi ghar tak nahin aai
ḳhush-hālī kisī roz bhī ghar tak nahīñ aa.ī
is ḳhvāb kī ta.abīr nazar tak nahīñ aa.ī
maiñ surḳh-rū ho jaatā agar Duub bhī jaatā
afsos koī mauj bhī sar tak nahīñ aa.ī
rah jaate dhare saare baḌe bol tumhāre
ḳhush-baḳht ho kashtī jo bhañvar tak nahīñ aa.ī
tūfān uThā detī zarā der meñ paglī
achchhā hai ghaTā dīda-e-tar tak nahīñ aa.ī
zaḳhmoñ ke nishāñ rah ga.e ik yaad kī sūrat
phir guzre zamānoñ kī ḳhabar tak nahīñ aa.ī
vo taḳht-nashīñ roz na.e zulm karegā
gar mauj-e-havā ab bhī sharar tak nahīñ aa.ī
talvāroñ kā kyā zikr sab us ke liye hī thiiñ
hisse meñ 'niyāz' apne sipar tak nahīñ aa.ī
KHush-haali kisi roz bhi ghar tak nahin aai
is KHwab ki tabir nazar tak nahin aai
main surKH-ru ho jata agar Dub bhi jata
afsos koi mauj bhi sar tak nahin aai
rah jate dhare sare baDe bol tumhaare
KHush-baKHt ho kashti jo bhanwar tak nahin aai
tufan uTha deti zara der mein pagli
achchha hai ghaTa dida-e-tar tak nahin aai
zaKHmon ke nishan rah gae ek yaad ki surat
phir guzre zamanon ki KHabar tak nahin aai
wo taKHt-nashin roz nae zulm karega
gar mauj-e-hawa ab bhi sharar tak nahin aai
talwaron ka kya zikr sab us ke liye hi thin
hisse mein 'niyaz' apne sipar tak nahin aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.