KHush jo aae the pasheman gae
ḳhush jo aa.e the pashemān ga.e
ai taġhāful tujhe pahchān ga.e
ḳhuub hai sāhab-e-mahfil kī adā
koī bolā to burā maan ga.e
koī dhaḌkan hai na aañsū na ḳhayāl
vaqt ke saath ye tūfān ga.e
terī ek ek adā pahchānī
apnī ek ek ḳhatā maan ga.e
us ko samjhe ki na samjhe lekin
gardish-e-dahr tujhe jaan ga.e
KHush jo aae the pasheman gae
ai taghaful tujhe pahchan gae
KHub hai sahab-e-mahfil ki ada
koi bola to bura man gae
koi dhaDkan hai na aansu na KHayal
waqt ke sath ye tufan gae
teri ek ek ada pahchani
apni ek ek KHata man gae
us ko samjhe ki na samjhe lekin
gardish-e-dahr tujhe jaan gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.